Monday, April 11, 2016

Kuch Baatein Ankahi Ansuni Reh Gayi


Kuch Baatein ankahi ansuni reh gayi
Na jaane kahan kuch kami reh gayi
Jinko maanga tha har ek dua mein meri
Khuda se vo dua ansuni reh gayi
Kuch baatein ankahi ansuni reh gayi
Na jaane kahan kuch kami reh gayi...

Yun to aksar humein dekha karte thy vo
Dekhne ko humein tarsa karte thy vo
Muskuraahat thy unki sukoon bhi thy hum
Sab humse shuru tha sab hum pe khatam

Par ab ye aalam hai ki nazreein churate hai vo
Humse dur, bohat dur chale jaate hai vo

Ab kya shikaayat karein aur kya ilzaam dein
Bus itna sa hum unko paigaam dein
Ab naa baaki hai kuch paas mere tera
Bus dil mein dard aur aankhon mein nami reh gayi
Bayaane ishq mein mere hi kami reh gayi

Kuch baatein ankahi ansuni reh gayi
Na jaane kahan kuch kami reh gayi..

Written by
Anubhuti Srivastava 

No comments:

Post a Comment

Powered By Blogger