Monday, May 11, 2020

Maa

Maa tumse iss jeevan ke, har pehlu mein kitna seekha
Tumse Hasna, tumse padhna, tumse Maine chalna seekha
Har mushkil daur mein tumko tap kar
Bante hue sona dekha
O Maa tumse iss jeevan ke har, pehlu mein kitna seekha

Har daur mein tumne badla khudko
Aur samey ke sang dhalna seekha
Tumse maine gir jaane par
Khud hi uth kar chalna seekha
O Maa tumse iss jeevan ke, har pehlu mein kitna seekha

Maan hai kya, abhimaan hai kya
Ache bure ki pehchan hai kya
Karuna hai kya, mamta hai kya
Mere andar chamta hai kya
Krishna hai tu arjun hu mai
Humne ishwar tum mein dekha
O maa tumse iss jeevan ke har pehlu mein kitna seekha

5 comments:

Powered By Blogger